Termites, cockroaches, aur doosray chhupay huay dushman aksar hamaray ghar aur office ki sehat khatam kar detay hain — bina kisi warning ke. American Bite Pest Control ne mujh se contact kiya ek aise video ad ke liye jo logon ko sirf daraaye nahi, balke solution ka rasta bhi dikhaye. Mera aim simple tha: Ek short, powerful aur relatable ad create karna jo direct action pe lead kare.
🔍 Challenges
Pest Control ka content log skip kar detay hain — usay eye-catching aur alert-based banana tha.
Message itna strong banana tha ke dekhte hi log kahen: “Bas, ab call karna hi parega.”
Script design ki based on fear + urgency: “TIRED OF UNINVITED GUESTS?”
Real infestation visuals use kiye — before/after effect ke sath.
Background music rakha tension-building style mein, taake attention grab ho.
Call-to-action rakha direct: “Protect your home today – Call American Bite now!”
✅ Results & Impact
Ad Facebook, Instagram aur WhatsApp promotions mein use hua.
Client ne bohat acha feedback diya.
💬 Client’s Words
“Ad dekh ke kaafi logon ne bola ke pehli baar kisi pest control ad ne itna impact dala.” — Team American Bite
❤️ Conclusion
Yeh project sirf ek commercial nahi tha — yeh ek awareness message tha. Maine is video ad mein design aur editing ka use is liye kiya taake log sirf dekhein nahi, feel karen. Jab visual storytelling aur strategy milti hai — tabhi brand ka asar hota hai.